Translate

Wednesday 24 December 2014

"Bachpan"

Palak jhapakte dekho
kese waqt palat ye jata hai....
mere bachpan ka mere aaj se ik tuta tuta naata hai.

girte padte jab bachpan me ghutne tuta karte the....
sar par ghar uthakar hum zor zor se rote the.
par ghutno ka wo dard bda kam nazar ab ata h...
jab dil tute ya sapna koi tut mera jata hai.

kaisi ajab ye zindagi hai..
socho to man muskata hai...
jab dard na tha to aansu mere sath bada nibhate...
ab dard me hain hum to ik aansu bhi ruswa kar jata hai.

bas phulo se the rishte naate....
kaanto se hum darte the.
apne ghar ki phulwari ki badi hifazat karte the
bade hue to bat smjh me ab ja kar k aayi hai ki
phulo ke chubhne ka dard kanto se zada satata hai.

itni bate thi karne ko...
par shabd bade kam aate the.
ab shabd sare sikh liye jab...
samajh wo hi nahin pate hain...
jo kehte the tera tutlana bhi samajh me humko ata hai....

choti si thi mutthi fir bhi kitna kch ajata tha....
ab bade ho gaye hath to pakad me kuch ni ata hai....

Palak jhapakte dekho
kese waqt palat ye jata hai....
mere bachpan ka mere aaj se ik tuta tuta naata hai.

-Aayushi Kapoor


1 comment:

Apurv said...

That's so amazing! ❤️